CorelDraw in Urdu

Corel Draw 
design ka software hai jis mai hum apni marzi se kisi bhi tarha ki designing kar sakte hai. Maslan, logo designing, visiting card designing, eid card making, pattern making, letter head aur calendar waghera hum apni marzi se bana sakte hain. Corel Draw aik aesa software hai jo Raster aur Vector dono tarha ki graphics ko support karta hai. Graphics do tarha ki hoti hai.
1. Vector
2. Raster

Vector Graphics:
Ye aesi graphics hoti hai jis mai Objects “Dots” ki madad se bante hain aur Dots kisi bhi line ka chote se chota hesa hota hai. Vector Graphics mai tamam objects line ke zarye bante hain aur en objects ki ye sab-se badi khobi hoti hai ke aap en objects ko jo Dots per Base karte hain jetna bhi bada kar-lain objects kharab shakal mai nazar nahe aaye ge.
Raster Graphics:
 Ye aesi graphics hoti hai jis mai tasverain to tasverain objects ya text bhe Pixels per base karte hain. Aur pixels kesi bhe tasveer ka chote se chota hisa hota hai matlab zar-ra hota hai. Jis ko agar khecha jaye to aik waqt aaye ga ke eski shakal bigad jaye ge aur tasveer phati hoi nazar aaye ge aur pixels aik aesa zar-ra bhe hai jis mai do se zyada rang hote hain jes ki wajha se es object ka wazan aik vector graphics ke object se bhari hota hai. Rastor Graphics per Corel Draw mai kaam jab kiya jata hai jab humain koi web page banana ho ya tasveeron main color per kaam karna ho ya en mai aesey
Effects dene ho jis se tasveer dekhne mai khobsorat nazar aaye. En graphics mai rango ka bohat khayal rakhna padta hai.
CorelDraw mai bhe dosre software ki tarha page per kaam kiya jata hai. Corel Draw mai Page per kaam karne se peh-le hum page ka size, Type aur Landscape ya Portrait bhe kar-sakte hain. Property Bar mai ja kar. Sab se peh-le hum Tools ka astamal sekhain ge. Humain mukhtalif chezain bana-ne ke liye mukhtalif Tool se kaam karna padta hai jo humain Tool Box main milte hain.
 Pick Tool Shape Tool Knife Tool and Eraser Tool
Pick Tool:
Pick Tool ki madad se hum kesi bhe Object, Picture ya Text ko aik jagha se dosri jagha le ja sakte hain. Es tool ki madad se hum kesi bhe cheez ka size chota bada kar sakte hain. Ya pher esey rotate kar sakte hain. Pehley aik object bana kar pick tool pr click karain aur object per mouse lain aur size ko chota bada karain.
Note: “space bar + ctrl” e ski short key hai.
Shape Tool: 
Shape tool ka kam kesi bhe object ya text ka shakal tabdel karna hai.
Knife Tool:
Knife tool ki madad se kesi bhe object ya text ko kesi bhi shakal mia kaat sakte hain. Es tool per kaam karne ke leye zarori hai ke hum apni matloba object ko select karain.
Eraser Tool: 
Eraser tool ka kaam kesi bhi object ko mitana ho ta hai. Es tool ki shakal aur size mai property bar ke zarye tabdeel bhi kar sakte hain.
 Free Transform Tool, Zoom Tool and Hand Tool
Free Transform Tool:
Free transform tool kesi bhi object ya text ko rotate karne ke kaam aata hai.
Zoom Tool:
Kesi bhi cheez ko bada kar ke dekhna ho to zoom tool per click karne ke baad mouse click daba kar rakhain aur mouse ko nichey le kar aain ya oper yani es object ke oper zoom tool ki madad se window banain ta ke woe s object ko bada kar ke dekhaye. Kesi bhi object ko select karne ke baad F4 dabane se vo object bada kar ke dekhaye ga. Aur agar object ko apni asal haalat mai vapus laana ho to es ke liye shift button daba kar rakhain aur F4 dabain ta ke vo apni asal haalat mai vapus aa jaye. 
Hand Tool: 
Hand tool ki madad se page ko ba-a-sani edhar odhar oper niche move karwa sakte hain.
Free Hand Tool:
Agar aap ko apne page main aik sedhe line banani ho to aap tool boox mai se Free Hand Tool per click karain. Es ke baad page per mouse laa kar mouse click daba kar rakhain aur line banain agar aap ko apni marzi ki line banani ho to aik dafa mouse click kar ke chod dain aur mause se aik sedhi line banain. 

Bezier and Artistic Media Tool 

Bezier Tool:-

Agar aap ko curve line banani ho to Bezier Tool ko select karain aur mouse click karain es ke baad dosre point per mouse click daba kar rakhain aur mouse ko oper ya niche ki taraf jahan bhi aap ko curve chaheye Drag karain aur apni matloba shakal haasil karne ke baad click ko chod dain.
Note: agar aap click daba kar chod dain ge to staright line ban jaye ge.

Artistic Media Tool:

Artistic media tool ki madad se object per ya apni matloba shakal mai Brushes estamal kar ke mukhtalef design bana sakte hain.
Estamaal (Uses):
Tool Box mai se Artistic Media Tool pr click karain.
Property Bar mai pehley Burshes ke option per click karain aur es ki width batain.
Page per mouse pointer laa kar koi bhi shakal banain. To ye aik marker ka kaam kare ga.
pher property bar mai se sprayer ke option per click karain aur sprayer ke style ko select karain.
Es ko bhi page per mouae drag kar ke estamaal karain.
Note: Es tool ko hum kesi bhi shape maslan rectangle, ellipse waghera per bhi estamaal kar sakte hain. Lekin es ke liye mouse drag karne ki zarorat nahe hai. Object ko select karain aur Brushes ya Sprayer ka koi style es per apply kar dain.

Agar aap khat-ta-ti karna chahte hain to.
Property bar mai sy Calligraphic ke option per click karain.
Ab aap mouse ke zarye job hi lekhna chahte hain vo likhain.
likhne ke baad width aur angle bhi property bar ki madad se tabdeel kar sakte hain.
Dimension Tool

Agar kesi bhi object ki width aur height napni ho aur es ko print mai bhi show karna ho to Dimension Tool ka estamaal keya jata hai.

Estamaal:
1. Aik object banain.
2. Es ko select karain.
3. pher Dimension Tool per click karain.
4. property bar se Horizontal Dimension per click karain aur mouse es object per le kar jain. Object ki 5. line per mouse click kar ke chod dain.
6. Mouse ko chodai mai object ke dosrey kinarey per le kar jain. 
7. Object ki line per click karain jahan object khatam ho raha hai vahan per aik dafa click karain. Es ke
baad jis taraf aap ko es object ki width likhe hoi chaheye vahan per Double Click karain ta ke vahan
8. per width likhe hoi show ho jaye 
Note: Esi tarha aap property bar mia se vertical dimension per click kar ke object ki height bhe maloom kar sakte hain.

Connector Tool:

Agar aap ko kesi aik object ko bohat saare objects se connect karna ho to Connector Tool estamaal karte hain. Es ke madad se Flow Charts vaghera bhi bana sakte hain.
Estamaal (Uses):
  1. Koi bhi object bana lain.
  2. Es ke baad 2 ya 3 objects aur bana lain.
  3. Pehle wale ko es tarha rakhain ke pehla wala object sab-se oper nazar aaye.
  4. Es oper wale object ko select karain.
  5. Connector tool per click karain.
  6. Pehle object ke kesi bhi point per mouse le kar jain wahan aap ko aik chota sa nishan nazar aeyga.
  7. Ab mouse click daba kar rakhain aur dosreyya tesrey object ke oper mouse le kar jain.
  8. Object ke kinare wale points mai se kise aik point per click karain jahan connector tool ki nook es object per chipak jaye to aap click chod dain. Ye object pehley wale object se connect ho jaye ga. Aap pehley wale object ko kahin bhi move karain ge to vo dosre object se es ka ta-el-luq dekha ta rahe ga aik line ki shakal mai.

    Note: Esi tarha aap jetne bhi object chahain connect kar sakte hain.
Polygon Tool

Polygon tool ki madad se panch kinaro vali shape bana sakte hain. Esi tool  ki madad se star bhi bana sakte hain.
Estamaal (Uses):
  1. Polygon tool per click karain.
  2. Property bar mai se polygon ki shape per click karain aur es ki jetni bhi sides aap ko chaheye vo bhi batain.
  3. Pher page main mouse la kar banain.

    Note: Property bar se star ki shape ko select kar ke esi tareqe se aap star bhi bana sakte hain.
Spiral Tool
Spiral tool ki madad se hum esaye curves bana sakte hain jo circle ki shape mai dekhai dete hain.
Estamaal (Uses):
  1. Tool box mai se spiral tool ko select karain.
  2. Property bar mai se Number of Rotations dain ke aap ketni dafa spiral mai curves bana chahte hain.
  3. Page per mouse la kar click daba kar rakhain aur Drag karain jo aik gool ghomti hoi shakal mai nazar aaye ga. Jetna bhi bada spiral aap ko chaheye aap Mouse Drag kar ke bana sakte hain

    Agar aap Spiral per Text lekhna chahte hain to
  • Pehle Spiral banain aur esaye select karain.
  • Tool box mai se Text Tool ko select karain.
  • Ab Spiral per Mouse le kar jain aur Sprial ki line ke balkul oper click kar dain.
  • Text lekhna shoru karain to Text aap ko Spiral ki shakal mai lekha howa nazar aaye ga.

Graph Paper Tool

Aggar aap ko Page mai Calendar vaghera banana ho ye Table banana ho to Graph Paper Tool ka estamaal karain.
Estamaal (Uses):
  • Tool Box main se Graph Paper Tool pe Click karain.
  • Property bar mai se jetne Columns aur Rows dene hain vahan Number lekhain.
  • Mouse ko Page per la kar Table bana-e-ye. Jab bhi hum es Table mai Color Palettes mai se Color karain ge to pore Table mai aik he color hoga.
  • Her khane mai alag Color kar-ne ke leye Table ko Select kar ke Right Click karain aur Ungroup per Click karain.
  • Selection Khatam karain aur alag alag Select kar ke her kha-ne mai alag alag rang bharain.
Rectangle Tool and Elipse Tool

Rectangle Tool
Agar page mai Squre ya Rectangle banana ho to Ractangle Tool per click karain aur page mai mouse click daba kar rakhain aur banain. Agar Square ko Center se banana ho to Ctrl+Shift ko daba kar rakhain aur mouse click bhi daba kar rakhain. Square ka size dena ho to Property Bar mai se Size, Rotation, Comers aur Outline ki motai waghera dey sakte hain.
Elipse Tool
Agar page mai Circle ki Shape banani ho to hum Elipse Tool ka estamaal karte hain.
Estamaal (Uses):
  1. Tool box mai se Elipse Tool per click karain aur agar pora gool circle banana ho to Ctrl+Shift daba kar rakhain aur mouse se circle banaye.
  2. Circle banane ke baad property bar mai se sercile ki shakal bhi tabdeel kar sakte hain aur Pie aur Arc jesi shakalain bana sakte hain.
  3.  Es ko banane ke baad chota ya bada karna ho to Shift daba kar rakhain aur mouse se size chota ya bada karain ge.

    Agar circle per text likhna ho to
  • Pehley circle per click karain.
  • Pher text per click karain aur bilkul circle ki line per click kar ke likhna shuro kar dain.

Related

software learning 339967899107299098

Post a Comment

emo-but-icon

item
href="http://www.ariyan.org">Wordpress